Translate

Tuesday, 14 March 2017

Auliya-Allah Ki Fazilat

السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

Allah ta’ala jab apni muhabbat ke liye kisiko chhun leta hai tab wo Wali banjata hai. Wali pehle Allah ka mehbub banta hai baad me muhib (Allah ka chahne waala) banta hai.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Muttaffak alay Hadis sharif:

“Huzur Nabi e Akram sallallaho alayhe waalehi wasallam ne irshad farmaya:
Allah ta’ala Jibrael (alay salaam) ko bulata hai aur puchta hai ke ay Jibrael falan bandeko jaanteho ? Jibrael (alay salaam) irshad farmate hain ji Baari ta’ala jaanta hun kya muamla hai, uske liye kya hukm hai ?
Allah farmata hai Mujhe usbande se muhabbat hogai hai. Toh Jibrael puchte hain mere liye kya hukm hai ? Allah ta’ala farmata hai ke tu bhi usse muhabbat kar. Jibrael (alay salaam) farmate hain mene bhi muhabbat karli. Ab kya hukm hai ? Allah farmata hai ab ja aasaman me nida karde tamaam farishton ko bata de Maine fulan se muhabbat ki hai ay aasman waalon tum sab bhi usse muhabbat karo. Ab saare aasman waale us bande se muhabbat karna shuru kardete hain. Uske baad puchajate hain ke Baari ta’ala ab kya hukm hai ? Toh irshad hota hai ab saare farishte zameen par utar jaaen aur Mere membub bande ki muhabbat zameen par utardo. Aur utardijati hai.”

Sahih Bukhari,
Jild:3,
Page: 1175,
Rakam: 3037.
Sahih Muslim.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Allah ke wali se muhabbat toh aasman se shuru hoti hai zameen se shuru hi nahi hoti jo ahle zameen usse khatam bhi karsaken. Agar koi kahani zameen se shuru hoti toh ahle zameen mil-jhul kar usse khatam bhi karlete, nadano! Ye muhabbat ki kahani toh yahanse shuru nahi hui balke la Makan se shuru hui hai. Ab is wali se muhabbat ko aap aur hum kese mita sakte hain !!!?

Jab muhabbat zameen par utarijati hai toh wo harek ko nahi milti, asmaan me sabko mili kyunki sab paak hain wahan. Zameen me harkisi ko nahi milti kyun ke napaak bartan me koi dudh nahi daalta. Hadis sharif me sirf ye bayan hai ke “Mere mehbub bande ki muhabbat zameen par utardo”, ye nahi kaha ke zameen me har shaks ke dil me daaldo. Ab Farishton ko khud samajh hai ke kaunse dil paak hain aur kaunse dil napaak hain, Farishte chunlete hain kaunse dil is kaabil hain jo Rab ke mehbubon se muhabbat karen aur kaunse dil is kaabil nahi hain ke Rab ke mehbubon ki muhabbat  rakhi jaae. Jo dil Uske mehbubon ki muhabbat ke layak hote hain unme muhabbat daaldijaati hai. Aur jo dil Rab ke mehbubon ki muhabbat ke layak nahi hote unme muhabbat daali hi nahi jaati.

So ye koi rola hai hi nahi, koi jhagda hai hi nahi, na walion ki muhabbat aapne daali na mene daali, jis jis dilko Rab ne chuna us us dilme AuliyaAllah ki muhabbat aagai aur jin jin dilon ko Rab ne radd kardiya wo muhabbat e Auliya se khali rahgaye.

Allah paak chunta hai malaika ke zariye ke kin dilon me muhabbat daalni hai aur kin dilon me wo muhabbat nahi daalni hai. Lihaza na aap gusse hua karen na koi aur jalal me aaya kare isbaat par ke bhai hum waliAllah se muhabbat karte hain aur tum nahi karte. Bhai uske dilko Allah ne chuna nahi hai aap kese Rab bansakte hain!!!!!

Ab koi ye na samajhle ke jo Quran bohot padta hai ya namazen bohot padta hai uska dil is kabil hoga ke usme muhabbat rakhi jaae. Balki hadis sharif me aata hai ke “ek kaum hogi jo Quran bohot padhegi, namazen bohot padegi mager deen se aise kharij hojaaegi jese tir shikar se kharij hojata hai.” (Sahih Bukhari, Sahih Muslim).

Toh namazen kasrat se padna aur Quran majid ki tilawat kasrat se karna ye mayar hi nahi hai ischiz ka ke uska dil bhi paak ho aur waliAllah ki muhabbat rakne ke kabil hoga.

💠Brief summary from the lecture of Shaykh ul Islam, Mujadid e Rawan Dr.Mohammad Tahir ul Qadri.💠
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Iska matlab ye nahi hai ke koi Quran Majid aur namazen na paden, ye toh hai hi mager unmese bhi chuninda log hai muhabbat rakhne ke layak aur wo hai ‘Ahle Sunnat Wal Jamaat’ kyun ki sunni tamaam Allah ke mehbub bandon se muhabbat rakhta hai chahe wo Nabi hon, Khulfa e rashedeen hon, dusre Sahaba e kiram hon, Ahle Bayt e athaar hon ya tamaan waliAllah aur Auliya e izaam hon ya Saiyed Sadaat e kiram hon sunni sab se muhabbat karte hain. Jab ke wahabi, ahle hadis, deobandi, tablig jamaat wagera ke dil auliyaAllah ki muhabbat se khali kham hote hain is baat me kisi ko shak bhi nahi hai na do raai hai aur naahi shiya, raafzi isme shumar hain kyun ke unke dil bhi Allah ke mehbubtareen bandon se khali hote hai (Khilfa e rashedin, Sahaba e Kiram radiAllaho ajameen).

(..2..)………………………………………

“AULIYA ALLAH KA MAQAAM”
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Hadees :
Meri Ummat Mein 70,000 Hazar Afarad ALLAH Ke Wali ( Dusri Riwayat Mein 7,00,000 ) Aise Honge Jo Jannat Mein Jayenge Aur Bagair Hisaabo Kitab Ke Jannat Mein Dakhil Honge Aur Har Ek 1000 Ka Aalam Ye Hoga Ke Wo Apne Saath 70,70 Hazar ( Thousand ) ­ -­ Logon Ko ( Mureedo Ko, Unke Mohabbat Karne Walo Ko, Adab Karne Walo Ko ) Jannat Mein Leke Jayenge Aur Unke Azab Maaf Karaye Jayenge !!

Sahih Bukhari : Kitab ul Raqaia, Jild 11, Pg. 416

Sahih Muslim : Kitab ul Imaan, Jild 01, Pg. 198

(..3..)………………………………..

Hazrat Qazi Hamiduddin Nagori(R.A.), Hazrat Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki(R.A.) ke wisal ke waqt ka bayan yu farmate he ke Munqar Naqir aye aur nihayat adab se baith gaye, is dauran do farishte aur aa gaye aur Allah tala ka salame marhamat Khwaja qutbuddin ko pohchaya fir ek paigam likha hua nikala aur Khwaja ko de diya us me likha hua tha” Ay Qutbuddin hum tum se razi hue aur tumhari barkat ke bais hum ne Mohmmed Mustufa (sallallaho alayhe wa sallam) ki ummat ke tamam gunahgaro ki qabro se azab utha liya, is liye ke zinda logo ne tumse bahut faiz utha liya he murde bhi tumse faiz paye aur tumahare maqam e wilayat ko pehchane aur tumhari qadr jane”, iske bad fir do farishte pohnche aur Khwaja qutbuddin ko Allah tala ka salame magferat pohchaya aur munkar nakir se kaha ke farmane elahi he ke hamare Qutub se sawal mat karo hum ne khud hi sawal kar liya aur inho ne jawab de diya he tum laut jao.(taken from sabe sanabil sharif page no.444
?………

“Hazart Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Apni-Apni Qabron Me Zinda Hain Aur Namaz Padhte Hain.”

“Imam Asqalani Fat’h-ul-Bari Me Bayan Karte Hain Ki Imam Bayhaqi Ne Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Apni Qabron Me Zinda Hone Ke Baare Me (Sahih Ahadith Par Mushtamil) Ek Khoobsoorat Kitab Likhee Hai Jis Me Unhone Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ki Yah Hadith Bhi Vaarid Ki Hai Ki Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Apni Qabron Me (Hayaat-E-Zaahiri Ki Tarah Hee) Zinda Hote Hain Aur Salaat Bhi Ada Karte Hain.
Yah Hadith Unhone Yahya Bin Aboo Kathir Ke Tareeq Se Riwayat Ki Hai Aur Wo Sahih Hadith Ke Raawiyon Me Se Hain.
Unhone Mustalim Bin Saeed Se Riwayat Ki Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Bhi Unhein Siqa Qaraar Diya Hai.
Imam Ibn Hibban Ne Yah Hadith Hujjaaj-E-Aswad Se Riwayat Ki Hai Aur Wo Ibn Abi Zyaada Al-Basari Hain Aur Unhein Bhi Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Siqa Qaraar Diya Hai.
Imam Ibne Mu’in Ne Bhi Hazrat Saabit Se Yah Hadith Riwayat Ki Hai.
Imam Aboo Ya’ala Ne Bhi Apni Musnad Me Isi Tareeq Se Yah Hadith Riwayat Ki Hai Aur Imam Bazzar Ne Bhi Is Ki Takhreej Ki Hai Aur Imam Bayhaqi Ne Ise Sahih Qaraar Diya Hai. “
[Aboo Ya’ala Al-Musnad, Volume-06, Page-147, Hadith-3425.
Ibn Adi Al-Kamil, Volume-02, Page-327, Hadith-460.
وقال:هاذا أحاديث غرائب حسان وأرجو أنه لا بأس به،
Daylami Al-Musnad-ul-Firdaus, Volume-01, Page-119, Hadith-403.
Asqalani Fat’h-ul-Bari, Volume-06, Page-487, &  Lesan-ul-Mizan, Volume-02, Page-175, 246, Hadith-787, 1033.
وقال :رواه البيهقي، وقال ابن عدي:أرجو أنه لا بأس به،
Dhahabi Mizan-Ul-I’tiqad, Volume-02, Page-200, 270.
وقال :رواه البيهقي،
Haythami Majma-uz-Zawa’id, Volume-08, Page-211.
وقال :رواه أبو يعلى والبزار، ورجال أبي يعلى ثقات،
Suyuti Sharah Sunan An-Nasa’i, Volume-04, Page-110.
Azim Abadi Awn-ul-Ma’abud, Volume-06, Page-19,
وقال :وألفت عن ذالك تأليفا سميته :انتباه الأذكياء بحياة الأنبياء،
Manawi Fayd-Ul-Qadir,  Volume-03, Page-184.
Shawkani Nayl-ul-Awtar,
Volume-05, Page-178,
وقال :فقد صححه البيهقي وألف في ذالك جزءا،
Zurqani Sharah-ul-Muwatta Imam Maalik, Volume-04, Page-357,
وقال:وجمع البيهقي كتاب لطيفا في حياة الأنبياء وروى فيه بإسناد صحيح عن أنس رضي الله عنه مرفوعا.
]

(..3..)…………………………………………..

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey
Hain Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Ta’ala Alaihi Wa
Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Jab Allah Ta’ala Kisi Bandey Sey Muhabbat Karta Hey To Hazrat
Jibra’il Alaihissalam Ko Aawaaz Deyta Hey Ke Allah Ta’ala Fula’n
Bandey Sey Muhabbat Rakhta Hey, Lihaaza Tum Bhi Us Sey
Muhabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il Alaihissalam Us Sey Muhabbat
Karta Hain.
Phir Hazrat Jibra’il Alaihissalam Aasmaani Makhlooq Mey Nida
(Aawaaz) Deytey Hain Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat
Karta Hey.
Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo.
Pas Aasmaan Waaley Bhi Us Sey Muhabbat Karney Lagtey Hey.
Phir Zameen Waalon (Key Dilon) Mey Us Ki Maqbooliyat Rakh Dee
Jaati Hey.”
Muttafaque Alayh

[Bukhari As-Shahih, 03/1175, Raqam-3037, &
05/2246, Raqam-5693, &
06/2721, Raqam-7047,
Muslim As-Shahih, 04/2030, Raqam-2637,
Malik Al-Muwatta, 02/953, Raqam-1710,

(..4..)…………………………………………

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE
FARMAAYA: Sayyidina Umar ibn Al-Khattab riwayat karte hain,
Allah ke Rasool ( ﻢﻠﺳ ﻭ ﻪﻴﻠﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﻰﻠﺻ ) ne farmaya, “Allah Azzwajal ke kuch Bande aise honge jo Na Nabi
honge aur Na Shohada honge; Uss Din (on the Day of
Resurrection) Unke itne oonche Makam-o-Manzila t
dekh kar Nabi bhi rashk karenge aur Shohda bhi
rashk karenge. Unhone (Sahaba ne) poochha : “ Ya Rasool-Allah
( ﻢﻠﺳ ﻭ ﻪﻴﻠﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﻰﻠﺻ ) Hume bata de’n, Wo kaun log honge?” Aap ( ﻢﻠﺳ ﻭ ﻪﻴﻠﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﻰﻠﺻ ) ne farmaya, Yeh Woh log hain jo Allah ke liye ek-dusre se Mohabbat karte hai, Allah Azzawajalki kasam Unke Chehre Chaudhvi raat
ke Chand ki tarah chamak rahe honge Aur Woh Noor
ke Mimbaron par baithe honge. Uss din jab log
Khaufzada honge Unhe koi Khauf na hoga aur jab
Uss din log Ghamzada honge Unhe koi Gham na
hoga. Tab Aap ( ﻢﻠﺳ ﻭ ﻪﻴﻠﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﻰﻠﺻ ) ne ye Aayat Tilwat ki – “Ala inna awliyaa Allahi la khawfun AAalayhim wala
hum yahzanoona” (Khabardar! Beshaq Awliya Allah par na koi Khauf
hai Aur na wo Ranjida-wa-Gham geen honge) √ [Al Quran, Surah Yunus – 10:62]” »»»► [Abu Dawud: Book 3, Safa 288, Hadith No.
3527]

(..5..)………………………………………………
“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Hey
Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Ta’ala Alaihi Wa Aalehi
Wa Sallam Ney Farmaya :
Allah Ta’ala Farmata Hey :
Jo Merey Kisi Wali Sey Dushmani Rakhey Mey Us Sey Elaan-E-Jung
Karta Hoo’n Aur Meyra Banda Aisee Kisi Cheez Key Zariye Meyra
Qurb Nahin Paata Jo Mujhey Farzon Sey Zyada Mehboob Ho Aur
Meyra Banda Nafli Ibadat Key Zariye Baraabar Meyra Qurb Haasil
Karta Rahta Hey.
Yaha’n Tak Ke Mein Us Sey Muhabbat Karney Lagta Hoo’n Aur Jab
Mein Us Sey Muhabbat Karta Hoo’n To Mein Us Ka Kaan Ban Jaata
Hoo’n Jis Sey Woh Sunta Hey Aur Us Ki Aankh Ban Jaata Hoo’n Jis
Sey Woh Deykhta Hey Aur Us Ka Haath Ban Jaata Hoo’n Jis Sey
Woh Pakadta Hey Aur Us Ka Paanw Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh
Chalta Hey.
Agar Woh Mujh Sey Sawaal Karta Hey To Mein Usey Zaroor Ata
Karta Hoo’n Aur Agar Woh Meri Panaah Maangta Hey To Mein
Zaroor Usey Panaah Deyta Hoo’n.
Mein Ney Jo Kaam Karna Hota Hey Us Mey Kabhi Is Tarah Mutardid
(Fikramand) Nahin Hota Jaisey Banda-E-Momin Key Jaan Leney
Mey Hota Hoo’n, Usey Mowt Pasand Nahi Aur Mujhey Us Ki Takleef
Pasand Nahin.”
ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺒﺨﺎﺭﻱ .

[Bukhari As-Shahih, 05/2384, Raqam-6137,
Ibn Hibban As-Shahih, 02/58, Raqam-347,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 10/219, Baab(60),Kitab-uz-Zuhad
Al-Kabir, 02/269, Raqam-696,

(..6..)……………………………………………

•»HUZOOR GAUS-A-AAZAM REHMATULLAH TA’AALA ALAIHI KA ILM«•
*********************
HIQAYAT
*********
Ek Martaba Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ne Farmaya Agar Meri Zubaan Per Shari-at Ki Rok Na Ho To Tum Apne-Apne Gharon May Jo-Jo Kuch Khate Aur Jo-Jo Kuch Jama Rakhte Ho Main Un Sabki Tumeh Khaber De Doon! Tum Sab Mere Saamne Un Kaanch Ki Botalon Ki Maanind Ho Jinka Baaher Bhi Nazar Aata Hain Aur Jo Kuch Un Botalon Ke Ander Hain Wo Bhi Dikhayi Deta Hain!

(Sacchi Hiqayat, Hissa Soam Pg-512-13)

********************************
SABAK
*******
Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ka Ilm Is Qadr Wasi-a Tha Ki Zaahiri Wa Baatini Ki Koi Shai Unse Chupi Nahi Rahi!
Fir Agar Wo Shaks Jo Ek Botal Ka Zaahir Bhi Bagair Ainak (Chashme) Ke Na Dekh Sake Un ALLAH Walon Ke Ilm Per Aiteraaz Karne Lage To Kis Qadr Be-Khaber Hain!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ka Yeh Kamaal-A-Ilm Huzoor Sarwar-A-Aalam SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Mohabbat Wa Pairwi Ki Badaulat Hain!
Fir Jis Zaat Ke Gulam Ka Is Qadr Wasi-a Ilm Hain To Khud Us Zaat-A-Girami Ke Ulum Ki Wusu-at Ka Kya Aalam Hoga?

********************************

(..7..)…………………………………………………
•»KUM-BI-IZNILLAH«•
***********************
HIQAYAT
*********
Ek Aurat Apne Bacche Ko Leker Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ke Paas Haazir Hui Aur Kehne Lagi, Is Mere Bacche Ko Huzoor Se Badi Mohabbat Hain! Main Isko Aapke Paas Chhodti Hoon! Iski Tarbiyat Farmayiye Aur Fuyuz Wa Barkaat Se Ise Mala-Maal Kijiye!

Chunanche, Wo Aurat Apne Bacche Ko Hazrat Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ki Khidmat May Chhod Gayi! Kuch Dino Ke Baad Apne Bacche Ko Dekhne Keliye Aayi To Dekha Ki Uska Baccha Kamjor Hogaya Hain Aur Jau Ki Kushk Roti Kha Raha Hain! Fir Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ki Khidmat May Gayi To Dekha Ki Aapke Aage Paki Hui Murgi Rakhi Hain Jise Aap Tanawul Farma Rahe Hain! Us Aurat Ne Arz Kiya, Huzoor!  Aap Khud To Murgi Kha Rahe Hain Aur Mera Beta Jau Ki Khushk Roti Kha Raha Hain!

Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ne Us Khayi Hui Murgi Ki Haddiyon Per Apna Hath Rakha Aur Farmaya,

“Kum-Bi-Iznillah”

Itna Farmana Tha Ki Wo Murgi Zinda Hoker Bolne Lagi! Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ne Farmaya, Dekha! Jab Tumahra Beta Bhi Is Darje Tak Pahuch Jayega To jo Chahe Khaya Karega!

(Bahzatul Asraar, Pg- 65)

********************************
SABAK
*******
Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ko ALLAH-TA’AALA Ne Yeh Shaan Ata Farmayi Hain Ki Murdon Ko “Kum-Bi-Iznillah” Farmate To Wo Zinda Hojate The!

********************************

(..8..)………………………………………………..

•»BUJURGON KA HASADH«•
*****************************
HIQAYAT
*********
Ek Martaba Shaitaan Ne Hazrat Nooh Alaihi Salam Se Kaha Ki Aapke Ek Ehsaan Ka Badla Chukana Chahata Hoon! Hazrat Nooh Alaihi Salam Ne Farmaya, Mal-oun! Maine To Tujhe Apne Paas Bhatakne Tak Nahi Diya! Fir Tumper Mera Koi Ehsaan Kaisa?

Shaitaan Bola! Aapne Apni Dua Se Apni Sarkash Kaum Ko Dooboaker Aaye Din Ki Musibat Se Mujhe Bacha Liya! Har Roz Ki Kashmakash Aur Agwa Tarkibon Se Mujhe Nijaat Milgayi Hain! Iske Badle Main Yeh Nasihat Karta Hoon Ki Bujurgon Ke Hasadh Se Bachna Chahiye! Main Aadam Ke Hasadh Se Hi Maara Gaya Hoon Aur Abdi Jahannami Bangaya Hoon Unki Badayi Wa Azmat Mujhe Na Bhayi! Unke Aage Na Zhuka! Hamesha Keliye Mal-oun Bangaya!

(Nujjahtul Majalis Jild-1, Pg-402)

********************************
SABAK
*******
ALLAH Walon Ki Azmat Ka Inkaar Aur Unke Saamne Apne Aapko Bhi Kuch Samajhna Balki Unki Misl Maanna Bahoat Buri Baat Hain! Is Baat Se Aadmi Ki Aakib (Aakhirat) Tak Barbaad Hojati Hain! Isliye Is Khayal Se Bhi Bachna Chahiye!

********************************

(..9..)………………………………………………..

ALLAH Ke Wali Ka Zikr

Abu Huraira (Radiallaho Taala ansho) Ne Riwayat Ki,

Rasool-Allah (Sallallahu Alyhi Wasalam) Ne Farmaya, Ki Allah Farmata Hai Ki– “Allah Apne Mehboob Bando (Waliyon) Ka Zikr Aasmno Me Bhi Buland Karta Hai Aur Zameen Par Bhi Waliyon Ka Zikr Aam Kar Deta Hai.”

[Sahih Bukhari, Volume No. 4, Book: Beginning of Creation, Hadith No. 431]

[Sahih Bukhari, Volume No. 8, Book: Good Manners and Form (Al-Adab), Hadith No. 66]

[Sahih Bukhari, Volume No. 9, Book: ONENESS, UNIQUENESS OF ALLAH (TAWHEED), Hadith No. 577]

(..10..)………………………………………………

Hazrat Umar bin Khattab
(Radi’Allahu anhu) Riwayat karte
hain, k “RASOOL’ALLAH” (Sall’Allahu
Wa Aalehi Wasallam) Ne Irshad
Farmaya, “Allah ke kuch Bande Aise
Honge jo Na Nabi Honge Aur Na
Shohada Honge; Uss Din (on the Day
of Resurrection) Unke Itne oonche
Makam-o-Manzilat Dekh kar Nabi
Bhi Rashk Karenge, Sahaba Iaqram
ne poochha : “ Ya Rasool’Allah”
(Sall’allahu Wa Aalehi Wasallam)
Woh Kaun Log honge?” Aap
(Sall’Allahu Wa Aalehi Wasallam)
Ne Irshad Farmaya, Yeh Woh log
hain jo Allah ke liye ek-dusre se
Muhabbat karte hai, Allah Azzawajal
ki kasam Unke Chehre Chaudhvi
Raat ke Chand ki tarah Chamak Rahe
honge Aur Woh Noor ke Mimbaron
par Baithe honge. Uss Din jab Log
Khaufzada Honge Unhe koi Khauf na
Hoga Aur jab Uss Din Log Ghamzada
honge Unhe koi Gham na hoga. Tab
Huzoor
( Sall’Allahu Wa Aalehi Wasallam) ne
ye Aayat Tilwat ki –
“Ala Inna Awliyaa Allahi la Khawfun
Aalayhim wala Hum Yahzanoona”
Khabardar! Beshaq Awliya Allah par
na koi Khauf hai Aur na wo Ranjida-
wa-Gham geen honge)
√ [Al Quran, Surah Yunus – 10:62]”
[Abu Dawud: Book 3, Safa 288,
Hadith No. 3527]

(..11..)……………………………………

ALLAH Ke Wali Ka Zikr
Abu Huraira (Radiallaho Taala ansho) Ne
Riwayat Ki,
✏Rasool-Allah (Sallallahu Alyhi Wasalam) Ne
Farmaya, Ki Allah Farmata Hai Ki– “Allah Apne
Mehboob Bando (Waliyon) Ka Zikr Aasmno Me
Bhi Buland Karta Hai Aur Zameen Par Bhi
Waliyon Ka Zikr Aam Kar Deta Hai.”
[Sahih Bukhari, Volume No. 4, Book: Beginning
of Creation, Hadith No. 431]
[Sahih Bukhari, Volume No. 8, Book: Good
Manners and Form (Al-Adab), Hadith No. 66]
[Sahih Bukhari, Volume No. 9, Book: ONENESS,
UNIQUENESS OF ALLAH (TAWHEED), Hadith No.
577]

(..12..)………………………………………

“Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Hazrat Muaaz Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Kartey Hain Ke Unhoney Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ko Farmatey Huwey Suna :
Beshak Ma’mooli Dikhaawa Bhi Shirk Hey Aur Jis Ney Awliya’ Allah Sey Dushmani Ki To Us Ney Allah Ta’ala Sey Elaane Jung Kiya Beshak Allah Ta’ala Un Nek Muttaqi Logon Ko Mehboob Rakhta Hey Jo Chhupey Rahtey Hain.
Agar Woh Gaayab Ho Jaaye To Unhey Talaash Nahin Kiya Jaata, Agar Woh Maujood Ho’n To Unhey (Kisi Bhi Majlis Mey Ya Kaam Key Liye) Bulaaya Nahin Jaata Aur Na Hee Unhey Pehchaana Jaata Hey.
Un Key Dil Hidayat Key Charaag Hain, Aisey Log Har Tarah Ki Aazma’ish Aur Taareek (Andherey) Fitaney Sey Bakhairon Aafiyat Nikal Jaatey Hain.”
رواه ابن ماجه والحاكم والطبراني.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Ibn Majah As-Sunan, 02/1320, Raqam-3989,
Hakim Al-Mustadrak, 01/44, Raqam-04, &
4/364, Raqam-7933,
Tabarani Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/122, Raqam-892,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 05/548, Raqam-9049,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/34, Raqam-49,
Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-649, Raqam-736.]

(..13..)………………………………………

Farman-e-Mustafa Sallallahu Alaihay  Wasallam:
ALLAH Ta’ala Farmata He:
“Jisne Mere Kisi Wali Se Dushmni Rakhi
Uske Liye Meri Tarf Se Elan-e-Jang Hai”
(BUKHARI J.2 Pg963)

(..14..)
AS SALAMU ALAIKUM.

.
∗ Mera Banda Mere Baare
Me Jo Gumaan Rakhta …..
.
» Hadees : Hazrat Abu
Hurairah (Radhi Allahu
Ta’ala Anhu) Kehte Hain Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Ne
Farmaya Ki,
“Khudawand Ta’ala Farmata
Hai Ki, Mera Banda Mere
Baare Me Jo Gumaan Rakhta
Hai, Mai Uske Liye Aisa Hi
Hoon, Jab Woh Mujhko
Yaad Karta Hai Toh Mai
Uske Saath Hota Hoon, Woh
Dil Me Mujhko Yaad Karta
Hai Toh Me Bhi Usko Dil Me
Yaad Karta Hoon, Aur Logo
Me Mujhko Yaad Karta Hai
Toh Mai Unn Se Behtar
Makhlooq Me (Farishto Ki
Jamaat Me) Uska Zikr Karta
Hoon, Woh Meri Taraf Ek
Baalisht Barhta Hai Toh Mai
Uski Taraf Ek Haath Barhta
Hoon, Woh Meri Taraf Ek
Haath Barhta Hai Toh Mai
Do (2) Haath Barhta Hoon,
Woh Dheere Dheere Meri
Taraf Aata Hai Toh Mai
Daud Kar Uski Taraf Jata
Hoon”.
-: (Sahih Bukhari Jild 3, Para
30, Page 542, Hadees 2255
Tawheed Ka Bayaan)
-: (Sahih Muslim Jild 2, Page
194, Hadees 953 Baab 447
Dua Ka Bayaan)
Ref – Ummat-e-Nabi

(..15..)
Hadeese Nabawi :
Ek baar Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya,
‘ALLAH ta’ala ne meri ummat me 70,000 afraad aise ata farmaye
hain jo bagair hisaabo kitaab ke Jannat me daakhil honge.’
Ye sunkar aik sahaabi ne aage aaye aur arz kiya ‘Ya Rasool-Allah
sallallahu alaihi wa sallam, Aap ne
ALLAH ta’ala se majeed na maanga?’
Aap ne aage farmaya ‘Wo har aik apne saath 70-70 hazaar logo ko
Jannat me leke jayenge.’
(Sahih Bukhari, Jild -11, Kitaab-ul- Raqaia, Safa 416, Sahih Muslim, Jild -1, Kitaab-ul-
Eimaan, Safa -198)

(..16..)

“Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Hazrat
Muaaz Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Kartey
Hain Ke Unhoney Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi
Wa Aalehi Wa Sallam Ko Farmatey Huwey Suna :
Beshak Ma’mooli Dikhaawa Bhi Shirk Hey Aur Jis Ney Awliya’
Allah Sey Dushmani Ki To Us Ney Allah Ta’ala Sey Elaane Jung
Kiya Beshak Allah Ta’ala Un Nek Muttaqi Logon Ko Mehboob
Rakhta Hey Jo Chhupey Rahtey Hain.
Agar Woh Gaayab Ho Jaaye To Unhey Talaash Nahin Kiya Jaata,
Agar Woh Maujood Ho’n To Unhey (Kisi Bhi Majlis Mey Ya Kaam
Key Liye) Bulaaya Nahin Jaata Aur Na Hee Unhey Pehchaana
Jaata Hey.
Un Key Dil Hidayat Key Charaag Hain, Aisey Log Har Tarah Ki
Aazma’ish Aur Taareek (Andherey) Fitaney Sey Bakhairon
Aafiyat Nikal Jaatey Hain.”
ﺭﻭﺍﻩ ﺍﺑﻦ ﻣﺎﺟﻪ ﻭﺍﻟﺤﺎﻛﻢ ﻭﺍﻟﻄﺒﺮﺍﻧﻲ .
ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﺤﺎﻛﻢ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺻﺤﻴﺢ .

[Ibn Majah As-Sunan, 02/1320, Raqam-3989,
Hakim Al-Mustadrak, 01/44, Raqam-04, &
4/364, Raqam-7933,
Tabarani Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/122, Raqam-892,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 05/548, Raqam-9049,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/34, Raqam-49,

(..17..)

“Hazrat Asma Binte Yajeed RadiyAllahu Ta’ala Anha Sey Riwayat
Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi
Wa Sallam Ko Farmatey Suna Ke Kya Mein Tumhey Tum Mey
Sey Sab Sey Behtar Logon Key Baarey Mey Khabar Na Doo’n,
Sahaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ney Arz
Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Kyun Nahin?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Tum Mey Sey Behtar Log Woh Hain Jab Unhey Deykha Jaaye To
Allah Yaad Aa Jaaye.”

[Ibn Majah As-Sunan, 02/1379, Raqam-4119,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06/459, Raqam-27640,
Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad/119, Raqam-323,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 24/167, Raqam-423,

(..18..)

Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat
Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Ta’ala Alaihi Wa
Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Allah Ta’ala Farmata Hey :
Jo Merey Kisi Wali Sey Dushmani Rakhey Mey Us Sey Elaan-E-
Jung Karta Hoo’n Aur Meyra Banda Aisee Kisi Cheez Key Zariye
Meyra Qurb Nahin Paata Jo Mujhey Farzon Sey Zyada Mehboob
Ho Aur Meyra Banda Nafli Ibadat Key Zariye Baraabar Meyra
Qurb Haasil Karta Rahta Hey.
Yaha’n Tak Ke Mein Us Sey Muhabbat Karney Lagta Hoo’n Aur
Jab Mein Us Sey Muhabbat Karta Hoo’n To Mein Us Ka Kaan
Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Sunta Hey Aur Us Ki Aankh Ban
Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Deykhta Hey Aur Us Ka Haath Ban
Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Pakadta Hey Aur Us Ka Paanw Ban
Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Chalta Hey.
Agar Woh Mujh Sey Sawaal Karta Hey To Mein Usey Zaroor Ata
Karta Hoo’n Aur Agar Woh Meri Panaah Maangta Hey To Mein
Zaroor Usey Panaah Deyta Hoo’n.
Mein Ney Jo Kaam Karna Hota Hey Us Mey Kabhi Is Tarah
Mutardid (Fikramand) Nahin Hota Jaisey Banda-E-Momin Key
Jaan Leney Mey Hota Hoo’n, Usey Mowt Pasand Nahi Aur
Mujhey Us Ki Takleef Pasand Nahin.”
ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺒﺨﺎﺭﻱ .

[Bukhari As-Shahih, 05/2384, Raqam-6137,
Ibn Hibban As-Shahih, 02/58, Raqam-347,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 10/219, Baab(60),Kitab-uz-Zuhad
Al-Kabir, 02/269, Raqam-696,

(..19..)

“Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat
Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi
Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Beshak Allah Ta’ala Ke Kuchh Aisey Barguzeeda Bandey Hain Jo
Na Ambiya Kiram Hain Na Shohada, Qayamat Key Din Ambiya
Kiram Alaihimussalam Aur Shohada Inhey Allah Ta’ala Ki Taraf
Sey Ata Kardah Maqaam Deykh Kar Un Par Rashk Karey Gey.
Sahaba-E-Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ney Arz
Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Aap Hamey Un Key Baarey Mey Bataaye Ke Woh Kaun Hain?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Woh Aisey Log Hain Jin Kee Aik Doosarey Sey Muhabbat Sirf
Allah Ta’ala Ki Khaatir Hoti Hey Na Ke Rishteydaari Aur Maali
Leyn-Deyn Ki Wazah Sey.
Allah Ta’ala Ki Qasam !
Un Key Chehrey Noor Ho’n Gey Aur Woh Noor (Key Mimbaron)
Par Ho’n Gey, Unhey Koi Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada
Ho’n Gey Unhey Koi Gam Nahin Hoga, Jab Log Ghamzada Ho’n
Gey.
Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Yeh
Aayat Tilaawat Farmayi,
˝Khabardaar Awliya’ Allah Par Na Koi Khauf Hey Na Woh
Ranjeeda Wa Ghamgeen Ho’n Gey.[Yunus, 10 : 62]“

[Aboo Dawood As-Sunan, 03/288, Raqam-3527,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 06/362, Raqam-11236,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 06/486, Raqam-8998,

(..20..)

SAWAAL
*********
Wo Kaun Log Hain Jinki Rooh Khud Rab-Ta’aala Apne Dast-A-Qudrat Se Kabz Farmata Hain?
JAWAAB
*********
Shohada-A-BaherHain Jinki Rooh Khud ALLAH-Pak Apne Dast-A-Qudrat Se Kabz Farmata Hain!
SAWAAL
*********
Kya Unke Ilawa Bhi Koi Shaks Hain Jinki Rooh Khud Rab-Ta’aala Ne Apne Dast-A-Qudrat Se Kabz Farmayi?
JAWAAB
*********
Haan, Hazrat Fatima Zohra Radi-Allahu-Anha Hain Ki Khud ALLAH-TA’AALA Ne Unki Rooh Nikaali, Unki Taraf Koi Farishta Nahi Bheja Gaya!
(Sharhus-Sudoor,Pg-21)
(Tafsir-A-Nayimi-Jild-5,Pg-537)

(..21..)

Auliya’ Allah Ki Barakaat(Auspiciousness)Ki Wajah Se Fatah (Victory) Aur Rizq (Food) Diya Jaata Hai:

Hazrat Abu Qulabah (Razi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai

✏Huzoor (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ne Farmaya: “Meri Ummat Me Hamesha Kuch Log (Auliya’) Aise Hotey Hain Jo Allah Ta’ala Se Jab Bhi Koi Cheez Maangtey Hain Allah Ta’ala Unhe Ataa Farma Deta Hai. Unhi Logon Ke Zariye Tumhari Madad Ki Jaati Hai Aur Unhi Ke Zariye Tum Par Barish (Rain) Barsayi Jaati Hai. Sahabi Kehte Hain Ke Mera Kayal Hai Ke Aap (sallallahu Alyhi Wasalam) Ne Ye Bhi Farmaya Ke Unhi Ke Zariye Tum Se Museebatein Door Ki Jaati Hain”

📔{Imam Abu Da’ood, Maraseel, 1:236, Hadees: 309.}

(..22..)

Hazrat Amr Bin Hamiq RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Banda Us Waqt Tak Iman Ki Haqeeqat Ko Nahin Paa Sakta Jab Tak Ke Woh Allah Ta’ala Key Liye Hee (Kisi Sey) Naaraaz Aur Allah Ta’ala Key Liye Hee (Kisi Sey) Raazi Na Ho (Ya’ni Us Ki Raza Ka Markazo Mehwar Sirf Zaatey Elaahi Ho) Aur Jab Us Ney Yeh Kaam Kar Liya To Us Ney Iman Ki Haqeeqat Ko Paa Liya Aur Beshak Merey Ahbaab Aur Awliya’ Woh Log Hain Ke Merey Zikr Sey Un Ki Yaad Aa Jaati Hey Aur Un Key Zikr Sey Meri Yaad Aa Jaati Hey (Ya’ni Meyra Zikr Un Ka Zikr Hey Aur Un Ka Zikr Meyra Zikr Hey).”

[Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/203, Raqam-651,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/430, Raqam-15634,
Ibn Abi Duniya Kitab-ul-Awliya/15, Raqam-19,
Ibn Rajab Jami’-ul-Uloom Wal-Hikam, 01/365,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 05/152, Raqam-7789,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 04/14, Raqam-4589,
Haythami Majma-uz-Zawa’id, 01/58,
Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-648, 649, Raqam-735.]

(..23..)

“Jo Log Buzurgon Ko Durr Durr Se Pukaarte Hain Aur Unhe Pukaar Kar Seerf Itana Hee Kehte Hai Ki,
YAA HAZARAT !
AAP DUAA FARMAE KE ALLAH TA’ALA HAMAARI HAAJAT POORI KAR DE
To Ye Bhi
‘SHIRQ’
Geena Jaayenga.”

HAWAALA
[Taqwiyatul imaan-ismaailDahelvi,
Anoowadak-Hasan Bhadkodravi,Publication No-96, Pege-73, Publisher-Darool Uloom Kanthariya Bharuch]

Yaha Aapko Hadith Shareef Ka
Hawaala To De Hee Sakte He Magar In Munafiqon Ki Do Rangi Policy Bataainge Ki,
Dewbandi Maulvi Aashik Elaahi Merthi Ne Rashid Ahmad Gangohi Ki Zindagi Ke Baare Me
“TAZKERATURRASHEED”
Kitaab Likhi,
Usme Maulwi Ashraf Ali Thanvi
Ne Gangohi Ke Baare Me Likhi Huee
MANQABAT Ume Daamil Hai.
Usme Hai Ki,

“Yaa Murshidee
Yaa Maulaai
Yaa Mazafaee
Y Maljaai
Fee Mabdaee Wa Moa’dee…..”

Ye Poori Manqabat Is Tareh Hai :
Ki,
“Yaa Mere Murshid !
Yaa Mere Maula !
Yaa Meri Dehshat Me Honshla Dene Waale !
Mere Deen Aur Duniya Me Panaah
Dene Waale !
Aie Meri Fariyaad Sunne Waale !
Mujh Par Raham Karo !….
Ya Mere Murshid !
Allah Ke Waaste Meri Madad Farmaao !
Is Liye Ki Tum Dene Waale Ho Aur Mein Tumhaara Bhikaari Hoon.”

HAwaala
[Tazakeraturrsheed, Dewbandi Aashik Elahi Merthi, Page: 114]

Azeejaane Meellat-e-islamiya !
Ab Tum Khood Hee Inshaaf Se Karon !!!!!

(..24..)

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Question: WaliAllah kaun hote hain ?

Answer: Allah ta’ala jab apni muhabbat ke liye kisiko chhun leta hai tab wo Wali banjata hai. Wali pehle Allah ka mehbub banta hai baad me muhib (Allah ka chahne waala) banta hai.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Muttaffak alay Hadis sharif:

“Huzur Nabi e Akram sallallaho alayhe waalehi wasallam ne irshad farmaya:
Allah ta’ala Jibrael (alay salaam) ko bulata hai aur puchta hai ke ay Jibrael falan bandeko jaanteho ? Jibrael (alay salaam) irshad farmate hain ji Baari ta’ala jaanta hun kya muamla hai, uske liye kya hukm hai ?
Allah farmata hai Mujhe usbande se muhabbat hogai hai. Toh Jibrael puchte hain mere liye kya hukm hai ? Allah ta’ala farmata hai ke tu bhi usse muhabbat kar. Jibrael (alay salaam) farmate hain mene bhi muhabbat karli. Ab kya hukm hai ? Allah farmata hai ab ja aasaman me nida karde tamaam farishton ko bata de Maine fulan se muhabbat ki hai ay aasman waalon tum sab bhi usse muhabbat karo. Ab saare aasman waale us bande se muhabbat karna shuru kardete hain. Uske baad puchajate hain ke Baari ta’ala ab kya hukm hai ? Toh irshad hota hai ab saare farishte zameen par utar jaaen aur Mere membub bande ki muhabbat zameen par utardo. Aur utardijati hai.”


Sahih Bukhari,
Jild:3,
Page: 1175,
Rakam: 3037.
Sahih Muslim.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Allah ke wali se muhabbat toh aasman se shuru hoti hai zameen se shuru hi nahi hoti jo ahle zameen usse khatam bhi karsaken. Agar koi kahani zameen se shuru hoti toh ahle zameen mil-jhul kar usse khatam bhi karlete, nadano! Ye muhabbat ki kahani toh yahanse shuru nahi hui balke la Makan se shuru hui hai. Ab is wali se muhabbat ko aap aur hum kese mita sakte hain !!!?

Jab muhabbat zameen par utarijati hai toh wo harek ko nahi milti, asmaan me sabko mili kyunki sab paak hain wahan. Zameen me harkisi ko nahi milti kyun ke napaak bartan me koi dudh nahi daalta. Hadis sharif me sirf ye bayan hai ke “Mere mehbub bande ki muhabbat zameen par utardo”, ye nahi kaha ke zameen me har shaks ke dil me daaldo. Ab Farishton ko khud samajh hai ke kaunse dil paak hain aur kaunse dil napaak hain, Farishte chunlete hain kaunse dil is kaabil hain jo Rab ke mehbubon se muhabbat karen aur kaunse dil is kaabil nahi hain ke Rab ke mehbubon ki muhabbat  rakhi jaae. Jo dil Uske mehbubon ki muhabbat ke layak hote hain unme muhabbat daaldijaati hai. Aur jo dil Rab ke mehbubon ki muhabbat ke layak nahi hote unme muhabbat daali hi nahi jaati.

So ye koi rola hai hi nahi, koi jhagda hai hi nahi, na walion ki muhabbat aapne daali na mene daali, jis jis dilko Rab ne chuna us us dilme AuliyaAllah ki muhabbat aagai aur jin jin dilon ko Rab ne radd kardiya wo muhabbat e Auliya se khali rahgaye.

Allah paak chunta hai malaika ke zariye ke kin dilon me muhabbat daalni hai aur kin dilon me wo muhabbat nahi daalni hai. Lihaza na aap gusse hua karen na koi aur jalal me aaya kare isbaat par ke bhai hum waliAllah se muhabbat karte hain aur tum nahi karte. Bhai uske dilko Allah ne chuna nahi hai aap kese Rab bansakte hain!!!!!

Ab koi ye na samajhle ke jo Quran bohot padta hai ya namazen bohot padta hai uska dil is kabil hoga ke usme muhabbat rakhi jaae. Balki hadis sharif me aata hai ke “ek kaum hogi jo Quran bohot padhegi, namazen bohot padegi mager deen se aise kharij hojaaegi jese tir shikar se kharij hojata hai.” (Sahih Bukhari, Sahih Muslim).

Toh namazen kasrat se padna aur Quran majid ki tilawat kasrat se karna ye mayar hi nahi hai ischiz ka ke uska dil bhi paak ho aur waliAllah ki muhabbat rakne ke kabil hoga.

💠Brief summary from the lecture of Shaykh ul Islam, Mujadid e Rawan Dr.Mohammad Tahir ul Qadri.💠
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Iska matlab ye nahi hai ke koi Quran Majid aur namazen na paden, ye toh hai hi mager unmese bhi chuninda log hai muhabbat rakhne ke layak aur wo hai ‘Ahle Sunnat Wal Jamaat’ kyun ki sunni tamaam Allah ke mehbub bandon se muhabbat rakhta hai chahe wo Nabi hon, Khulfa e rashedeen hon, dusre Sahaba e kiram hon, Ahle Bayt e athaar hon ya tamaan waliAllah aur Auliya e izaam hon ya Saiyed Sadaat e kiram hon sunni sab se muhabbat karte hain. Jab ke wahabi, ahle hadis, deobandi, tablig jamaat wagera ke dil auliyaAllah ki muhabbat se khali kham hote hain is baat me kisi ko shak bhi nahi hai na do raai hai aur naahi shiya, raafzi isme shumar hain kyun ke unke dil bhi Allah ke mehbubtareen bandon se khali hote hai (Khilfa e rashedin, Sahaba e Kiram radiAllaho ajameen).

(..25..)

⏫⏫⏫⏫⏫⏫⏫⏫⏫

Urs Mubarak AASHIQULLAH BADSHAH E VILAYAT HAZRAT SAYYEDNA SHARFUDDIN BU ALI SHAH QALANDAR Radiyallahu Anhu..

(27, Rabiul Awwal, Mazar :- Panipat, Hariyana)

💠Ek Din HAZRAT MAKHDOOM JALALUDDIN PANIPATI Radiyallahu Anhu HAZRAT BU ALI SHAH QALANDAR radiyallahu Anhu Ki Qayam gaah Ke Qarib Se Guzar Rahe The. Unhone Dekha Ke HAZRAT BU ALI SHAH Radiyallahu Anhu Ki Masnad Par Aapki Ki Jagah Ek Sher Betha Hua He. MAKHDOOM JALALUDDIN Alayhirrehma Kuchh Der Tak Bahot Heratzadaa Khade Rahe Phir Unhone Himmat Karke Sher se Kaha Ke “ye Shero Ki Jagah Nahi He Shero ko Jungle Me Rehna Chahiye ”Aapka Itna Kehna Tha Ke Achanak Dusre Char (4) Sher Aur Aa Gae Aur Aapas Me Khelne Lage.

💠Aap Shero Ka Tamasha Dekh Rahe The Ke Achanak HAZRAT BU ALI SHAH QALANDAR Radiyallahu Anhu Waha Tashrif Laae. MAKHDOOM JALALUDDIN Alayhirrehma Ne Aapko Salaam Kiya Hazrat Ne Salaam Ka Jawab Diya Aur Farmaya Ke
“JALALUDDIN Tum Hamare Raazdar Ho Shero Ka Tamasha Itminaan Se Dekho” Sher Aage Badhe Aur MAKHDOOM JALALUDDIN Alayhirrehma Ke Qadmo Ko Chum Liya.

💠MAKHDOOM JALALUDDIN Radiyallahu Anhu Ye Tamasha hi Dekh Rahe The Ke SARKAR BU ALI SHAH Radiyallahu Anhu Ne Puchha Ke
“Jaante Ho Jo Meri Masnad Par Betha Tha Wo Pehla Sher Kon He?
” MAKHDOOM JALALLUDIN Alayhirrehma Ne Arz Kiya “Huzur ! Me Nahi Janta” Aapne Farmaya Ke
“Wo Sher Me Hu”

💠Is Baat ka MAKHDOOM JALALUDDIN Alayhirrehma Par Bahot Asar Pada, Wo Aapke Qadmo Par Gir Gae Aur Murid Banne Ke Khwaishmand Hue. HAZRAT BU ALI SHAH Radiyallahu Anhu Ne Unhe Uthaya Aur Unke Sar Par Apna Mubarak Hath Phera Aur Unki Peshani Ko Choom Kar Bole Ke “Tumhara Hissa Dusre Ke Paas He intezaar Karo” Is Waqie Ke Kuchh Muddat Ke Baad HAZRAT SHAMSHUDDIN TURK PANIPATI Radiyallahu Anhu Tashrif Laae To Aap Unke Hath Par Bait Hue.

(..26..)

∗ Maa Ki Tarbiyat …..
» Bacche(Khwaja Kuthbuddin Bakhtiyar) Ka Yakin «
Hiqayat :- Khwaja Kuthbuddin Bakhtiyar Kaki (Rehamatullah Ta’aala Alaihi) Jab Chote The To Unki Maa Ne Unke Dil Me Allah Ki Mohabbat Daalne Ke Liye Ek Tarika Apnaya!
Jab Aap Madarse Se Aaye, Kaha Ammi! Bhook Lagi Hain! Maa Ne Kaha Beta Ham Bhi Allah-Ta’aala Se Maangte Hain, Wo Deta Hain, Aap Bhi Usi Se Maango,
Kaha Kaise Maangu? Aapki Walida Ne Kaha Bete, Musalle Per Bait Jao, Hath Uthao, Dua Maango! Bacche Ne Dua Maangi Aur Fir Pucha Ammi Ab Kya Karoon? Maa Ne Kaha Kamre Me Jao, Allah-Ta’aala Ne Tumahra Khana Kahin Rakh Diya Hoga! Toh Maa Ne Khana Banaker Chupaya Hua Tha! Bacche Ne Zara Dekha Toh Milgaya!
Toh Ab Bacche Ka Yeh Mamul Bangaya Ki Roz Dua Maangta Aur Use Khana Miljata! To Bacche Ke Dil Me Allah-Ta’aala Ki Mohabbat Badne Lagi! Maa Badi Khush Thi Ki Meri Tarbiyat Acchi Chal Gayi!
Allah-Ta’aala Ki Shaan, Ki Ek Din Maa Ko Rishtedaron Me Kisi Takrib Me Jana Pada Aur Wahan Der Hogayi! Jab Usko Waqt Ka Khayaal Aaya, Toh Bacche Ke Aane Ka Waqt Ho Chuka Tha Aur Wo Roti Pakaker Aayi Nahi Thi! Lihaza Maa Bechari Ne Burkha Sir Per Rakha Aur Tez-Tez Kadam Utha Rahi Hain, Chal Rahi Hain Aur Aankhon Me Aansu Hain Aur Dil Me Fariyad Hain, Mere Maula Maine Toh Bacche Ko Yakin Banane Keliye Yeh Saara Muamla Kiya Tha Agar Aaj Mere Bacche Ko Khana Na Mila Toh Kahin Uska Yakin Tut Na Jaye, Meri Galti Ko Chipa Lena, Meri Mehnat Ko Zaya Na Karna! Maa Duayen Maangti Hui Aayi Toh Dekha Baccha So Raha Hain, Maa Jaldi Se Aaker Khana Banaya Aur Fir Bacche Ke Gaal Ka Bosa Liya, Usko Uthaker Seene Se Lagaya,
Aur Kaha Beta! Aaj Toh Tumhe Bahoat Bhook Lagi Hogi? Bacche Ne Kaha Nahi, Pucha Kyon? Isliye Ammi Mai Jab Madarse Se Aaya Tha, Aap Bhi Ghar Me Nahi Thi, Maine Musalla Bichaya, Dua Maangi Ki Allah Mujhe Bhook Lagi Hain Aur Aaj Ammi Bhi Ghar Per Nahi Hain Mujhe Khana De De, Ammi Uske Baad Mai Kamre Me Gaya Toh Mujhe Ek Roti Padi Hui Mil Gayi! Wo Maine Khayi, Magar Ammi Jo Maza Mujhe Aaj Aaya Usse Pehle Wo Maza Kabhi Nahi Aaya Tha! Lihaza Unka Naam Pad Gaya Kuthbuddin Bakhtiyar Kaki Rehmatullah Ta’aala Alaihi! Yeh Itne Bade Shaikh Bane Ki Waqt Ke Mughal Baadshah Bhi Unke Mureed Bangaye!
-: (Sukoon-A-Khana, Pg-206-07)
Sabak :- Maaye Aisi Hoti Hain Jo Insan Ko Insan Bana Deti Thi Jinki Barkaton Se Bacche Auliya Bante The! Aisi Maa Ke liye Fir Shari-At Ne Kuch Huquq Batayen Hain!
(1) Pehla Yeh Ki Baccha Zubaani Bhi Aur Amli Taur Se Bhi Maa Ki Taazim Kare!
(2) Dusra Yeh Ki Sharayi Kaamon Me Maa Ka Kehna Maane Yahan Tak Ki Agar Boodih Maa Hain To Nafli Kaam Ko Chhodker Apni Maa Ki Khidmat Ko Tarji De!
(3) Tisra Haq Yeh Hain Ki Maa Ko Dukh Na Pahuchayen Chahe Uski Taraf Se Kuch Zyadati Bhi Ho!
(4) Chautha Haq Yeh Hain Ki Maa Agar Kaafira Bhi Ho Toh Bhi Uski Zarurat Ka Khayaal Rakhen Aur Jaan-Maal Se Uski Khidmat Kare!
(5) Paanchwa Haq Yeh Hai Ki Agar Maa Ke Zimme Koi Karza Ho Toh Aulaad Ko Chahiye Ki Wo Khud Ada Kare!
(6) Chatta Yeh Haq Hain Ki Maa Se Jo Milne Wali Hain Maslan Maa Ki Bahene, Maa Ke Rishtedar, Maa Ki Saheliyan Unke Saath Bhi Usi Tarah Adab Se Pesh Aayen Jis Tarah Maa Ke Sath Adab Se Pesh Aata Hain!
(7) Saathwa Yeh Haq Hain Ki Maa Ke Marne Ke Baad Uske Liye Dua-A-Magfirat Kare, Nafli Sadqaat Ya Ibadaton Ke Zariye Apni Maa Ko Sawaab Pahuchata Rahe, Magfirat Ki Dua Karta Rahe!
Yeh Maa Ke Huquq Hain Kis Liye? Ki Iss Maa Ne Insan Ko Insan Banaya!

(..26..)

⏫⏫⏫⏫

PART:- B

Urs Mubarak SHAM E QASRE HIDAYAT SHAIKHUL AQTAAB HAZRAT SAYYEDNA SARKAR USMAN ‘SHAM E BURHANI’ Radiyallahu Anhu
(15, Jamadiul Avval, Mazar :- Ahmedabad, Gujarat)

Aapka Mubarak Naam HAZRAT SAYYED USMAN Radiyallahu Anhu He. Aapka Khitab ‘SHAIKHUL AQTAAB’ aur Laqab ‘SHAM E BURHANI’ He. Aap Bachpan hi Me HAZRAT SAYYEDNA ABDULLAH BURHANUDDIN QUTB E AALAM Radiyalahu Anhu (Vaalid e Majid HAZRAT SHAH E AALAM Radiyallahu Anhu) se Murid Hue Aur Unhi se Taalim o Tarbiyat Hasil Farmai.

Aapke Pote HAZRAT SAYYED AALAM Rehmatullah Alayh ki Sagaai HAZRAT KHWAJA RUKNUDDIN KAANE SHAKAR CHISHTI Rehmatullah Alayh ke Sahabzaade HAZRAT KHWAJA DAWOOD Rehmatullah Alayh ki Ladki se Tay Hui. Ek Din Aapke Khadim ne Aapse Arz Kiya ke “Huzur !
Aapki Zindagi Faqro Faaqa me Guzarti he Usko Badalna Hoga Kyuki Aapki Rishtedaari HAZRAT KHWAJA DAWOOD Rehmatullah se Hui He Aur Wo Sahibe Doulat he”

Aapne Apne Us Murid se Farmaya ke ‘Mere Liye Mere Kisi Dusre ki Pervi Zaroori Nahi he Mere Liye mere Pir ki Pervi Kaafi he’ Ye Farmane ke Baad Aap Apne Murshid HAZRAT SAYYEDNA ABDULLAH BURHANUDDIN QUTB E AALAM Radiyallahu Anhu ke Mazar e Poor Anvaar par Hazir Hue Aur Apni Haalat keh Sunai.

Aapke Pir ne Aalam e Roohaniyat me Aapko Jawab Inayat Farmaya ke “USMAN ! Na Ummid hone ki Koi Vajah Nahi, Khush Raho aur Khushi me Din Guzaro. Tumko ye Maloom Hona Chahiye ke Kaarkhana e Ilaahi me se Jitna Hamare Shehzaade SHAH E AALAM Radiyallahu Anhu ko Mila he Utna hi Hamne Tumko Bhi Dilaya he”

💖Ye Basharat sun kar Aap Apni Qayamgaah ki Taraf Ravana Hue. Apne Us Khadim ko Bulaya Aur Farmaya ke ‘Fiqr Karne ki Koi Zaroorat Nahi, Aaj se ye Tariqa Ikhtiyaar Karo ke Jitne Kharch ki Zaroorat ho Utna Sabarmati Nadi ke Kinare Jakar Mitti Khod Kar Le Liya Karo’ Chunanche Khadim ne Yahi Tariqa Apnaya ke wo Rozana Sabarmati Nadi ke Kinare Jata Aur Mitti Khodne Par Hasbe Zaroorat Ashrafiya Nikal Kar Le Aata. Muddat Tak Hazrat ke Khandan walo ka Guzara Usi Tarah Hota Raha.

📓(Tarikhe Sufiya e Gujarat)

(..27..)

Assalamu Alaykum wa rehmatullahi wa barkatuh

》Hazrat Shuba ibne hajjjaj radi Allah tala anho :- aap ko Riwayat aur hadeeson ka Amirool mu’a’minin kaha karte the. Aap farmaya karte the. Ki wallah shaitan moulviyon se isi tarh khelne laga. Jis tarh bachche Akhrot se khelte hai. Fir jo moulvi nahi hai. Unka kiya haal honga. Aap ne is tarh Allah tala ki ibadat kithi ke unka chamda haddiyon se lag gaya tha. Ye hamesha barabar roze rakha karte the. Aur jo shakhs 8 dirhum ki kimmat ki libash pahenta tha. Usko name rakhte the. Aur kahete the. Ki tune 4 dirhum ka kurta bana liya hota. Aur baaki khairat kar deta. Aur agar koi kehta ki mai ese logon ka ham shohbat hu ke unke lihaz se muzko khush poshak(libash) rehna padta hai. To kahete the. Ki kiya khak poshak rehna padta hai. Aur jab baitullah jane wale saael ke paas se unka guzar hota tha to jo kuch unke paas hota yeh sab usko de de te the. Aur apne yaaron se kaha karte the. Ki agar muze mohtajon aur fakiron ke liye sawal karne ki hajat na hoti to mai kisi ke saath na beth ta. Unki poshak(libash) ki rung-gant matyali raha karti thi. Aur jab yeh apni khal ko khujate to usse mitti nikalti thi. Aur jab saael ke dene ko kuch na paate to apni sawari ka gadha de de te aur khood pa-piyaada(paidal) chalte the. Aur jab kabhi kashti me beth te to usme jitne Aadmi hote un sab ki taraf se kiraya bhi Ada karte the. Logon ne unke ghade ki zin aur lagam ke saath 17 dirhum kimat lagai thi. Aur unki poshak ko aanka gaya to 10 dirhum bhi na hoti thi. Halanke Ek kurta Ek taheband (lungi) aur Ek chadar usme thi. Khalifa mahendi ne unke liye 30 hazar dihum bheje to aapne bethe-bethe sab ko luta diya yani sabko baat diye aur unmese Ek dirhum bhi nahi liya halanki unke Ahlo Ayaal Rotiyon ke mohtaj the.
(ALLAHU AKBAR)
》hizri san 160 me 97 saal ki umer me basra se jannat ki raah li yani aapki wafat hui.
Wallahu Aa’a’lamu bissawab

 Tabkatul Auliya safa.no.129
(..28..)

Kaunsa Firqa Najat Paane Wala Hai ??

Ibn Asakir Ne Ismaeel Bin Faqiyah Se Riwayat Ki Wo Kehte Hain Ki Maine Khwab Mein Hafiz Abu Ahmad Hakim Ko Dekha Toh Pucha Ki Kaunsa Firqa Tumhare Nazdik Zyada Najaat Dene Wala Hai ??
Unhone Farmaya Ki AHLE SUNNAT.

[ Allama Jalaluddin Suyuti [ 849 – 911 H ] – Sharahus Sudoor : Pg 286 ]
[
Woh Daso’n Jin Ko Jannat Ka Mus’zda Mila,
Us Mubarak Jama’at Pe Lakho’n Salam
SUBHAN ALLAH SUBHAN ALLAH

(..29..)

Farman-e-Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke,
“Meri Ummat 73 Firqon Me Bategi Sab Jahannami Honge, Sirf 1 tabka (ahhle sunnat)
Jannati Hoga Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Aqeede Par Hoga”.
– (Tirmizi Sharif. Jild:2 Safa:255)

(..30..)

Qabr Ka Tawaaf

Kaala : Muallif-E-Arba’in Ne Kaha Ki Isi Tarah Qabr Ke Geerd Tawaaf Karna Jaaiz Nahin.

Aqoolu : Mein Kahta Hoo’n Ki Mulla Ali Qari Kee Ibaarat Se Mumaaniat Ma’loom Hoti Hai, Magar Matalib-ul-Momeenin Me Is Ka Jawaaz Naqal Kiya Gaya Hai.

حيث قال و إن كان قبر عبد صالح و يمكن أن يطوف حوله طاف ثلاثا أو سبعا .

Tarjuma : “Agar Qabr Banda-E-Saaleh Kee Hai Aur Us Kee Geerd Chakkar Lagaane Bhi Mumkin Hain To Teen Ya Saat Martaba Chakkar Lagaayein.”

Niz Maulana Jaami Rahmat-ul-Allahi Ta’ala Alayh Ne Apni Kitab Nafhat-ul-Ins Me Aboo’l Khayr Se Jawaaz Kee Riwaayat Naqal Kee Hai.”

[Tahqeeq-ul-Haqq-ul-Mubeen Fi Ajwibat’i Arbaeen, Hazrat Shah Ahmad Saeed Mujaddidi Farooki Madani (1217-1277 A.H), Safah-123.]

(..31..)

Hazrat abu Ali rahemattullah alaih par koi bahot
badi mushibat a padi wahe isi fikre wa gam me
pareshan rahene lage ek roz HUZUR SALLAHU
AALEHI WASSALLAM ko unhone khuwab me dekha
ki HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLAM ne
farmaya ki aye abu Ali yaheya ibne yaheya ki kabre
par jaao aur waha jakar istigfar Karo tumhari hazat
puri ho jayegi chunache jab subah hui to Hazrat
abu Ali rehmattullah taala alaih HUZUR SALLAHU
AALEHI WASSALLAM ke irshad ke mutabik Hazrat
yaheya ibne yaheya rahemattullah alaih ki kabre
par gaye waha jakar istigfar kar ke apni hazat pesh
ki to unki hazat puri ho gai aur sare fikre wa gam
door ho gaye ( tahzibul- tahzeeb jild 11 safa 299 )
SABAK— is riwayat se maloom hua ki khud
HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLAM ne ek
mushibat jada ko ek wali ki kabre par jakar wahi
apni hazat pesh karne ki hidayat farmaiye bas
sabit hua ki ALLAH walo ki kabre par jana aur apni
hazate pesh karna mana nahi hai balki HUZUR
SALLAHU AALEHI WASSALLAM ne is baat ki
hidayat farmaiye hai fir agar koi kisi wali ki kabre
par Jane se roke to usne HUZUR SALLAHU AALEHI
WASSALLAM ki mukhalfat ki ya nahi

♥♥♥♥♥

Ek shakhs ke marne par uski kabre khodi ja rahi
thee ki kabre khodte huye sath hi ek dusri kabre
zaahir hui jiski lahed se ek eit neeche gir gai logo
ne dekha ki us lahed me noorani shakle ke ek
bujurg safed libas pahene tashreef farma hai unki
goad me ek sunhera quran sharif rakha hai jiske
huruf bhi sunhere hai wahe bujurg tilawat kar rahe
hai eit girte hi us noorani bujurg ne apna sar
uthaya pucha keya kayamat kayam ho gai kaha
gaya nahi unhone farmaya to yeh eit fir usi jagah
laga do chunanche wahe eit fir usi jagah laga di gai
( sharhussudur safa 80 ) SABAK— ALLAH wale
marte nahi hai balki jagah badalte hai aur intekal
farmate hai kabro me noorani libas me rahete hai
quran bhi padhte hai fir us jaat-e-girami SALLAHU
AALEHI WASSALLAM ki badaulat in ALLAH walo ko
yeh hamesha ki zindgi mili hai us jaat-e-girami ke
liye markar mitti me mil gaye likhna bedeeni aur
beadbi ki baat hai na

♥♥♥♥♥

Hazrat rabia raziyallahu anhu ek badey muttaki
parhezgar aur ALLAH ke maqbool bande they
kasrat ke sath nafil ada karte aur roza rakha karte
they unki jab wafat hui to unke teen bhai unke aas
paas baithe huye they wahe kahete hai ki humne
dekha ki Hazrat rabia ne ek dam apne muh se
kapda hata diya aur assalamu alaikum kaha humne
walehkum assalam kahekar jawab diya tajjub se
kaha maut ke baad kaalam unhone jawab diya ha
maut ke baad maine apne rab se aisa haal me
mulakat ki ki wahe gazabnak nahi thaa mere rab
ne aala darje ki nemato aur reshmi libas ke atiya
ke sath mera istakbal kiya khabardar ho jaao ki
beshaq HUZUR ABUL QASIM HAZRAT MUHAMMAD
RASOOL ALLAH SALLAHU AALEHI WASSALLAM
mujh par namaz padne ka intezar farma rahe hai
tum mera janaza jaldi lekar chalo mere le jane me
der na karo yeh kahekar fir sakut maut ke sath
khamoshi ikhtiyar kar li ( sharhussudur safa 28 )
SABAK— ALLAH wale marte nahi balki apni jagah
badalte hai apne mehboob hakiki se ja milte hai
isliye unke liye yeh kaha jata hai ki fala bujurg ka
vishal ho gaya pas yeh log marte nahi yeh bhi
maloom hua ki hamare HUZUR SALLAHU AALEHI
WASSALLAM zinda hai aur apni ummat ke halaat
se ba khabar hai aap apne sachche gulamo ke
intekal par unki namaz-e-janaza bhi padte hai!!!


Talib-e-Dua:
Syed Hamid Shamsuzoha Ahrari

Must like and share ur for more Islamic Updates:
www.facebook.com/maktabEShamsuzoha/

Join us on Whatsapp:

https://chat.whatsapp.com/Ht1t36lWfgf01d5aIqNt7sView Group

Floow us on:
https://maktabeshamsuzoha.blogspot.in

No comments:

Post a Comment