Translate

Monday, 13 March 2017

Ilm o Ullama ki fazilat

Ilm aur Ullama ki tazeem:
Ilm ki ahmiyat se kisi ko inkar nahi ho sakta kyuki har shakhs khuli ankho Ilm
k fawaeed o samraat dekh raha hai, aur Ilm ki ahmiyat o afadiyat koi nayi nahi
balke ibteda se hi hai.
Ilm ki fazilat o ahmiyat ke liye sirf yahi ek baat kaafi hai k Ilm Allah ki
sifaat e kamaliya mein se ek hai, Ilm hi ki badoulat Insan ko dusri makhlooq
per fouqiyat aur bartari hasil hoti hui, Ilm ki ahmiyat hi pesh e nazar Allah
ta'ala ne akhiri paigham aur la'fani kallam Quraan-e-kareem ki sab se pehli
wa'hi mein zikr farmaya:
عَلَّمَ الْإِنْسَانَ مَا لَمْ يَعْلَمْ
"aur insaan ko wo baatein sikhaya jis ka us ko ilm na tha"
Ilm k zariye ek aam aadmi ko bhi unche se uncha muqaam o martaba hasil ho sakta
hai, Ahl e Ilm ko aam logo'n k muqable mein ek imteyazi shan aur manfar o
maqaam hasil hota hai!!
قُلْ هَلْ يَسْتَوِي الَّذِينَ يَعْلَمُونَ وَالَّذِينَ لَا يَعْلَمُونَ surah zumar ayat 9
"ap keh dijiye k kya Ilm wale aur Be-Ilm barabar ho sakte hai?"
Ilm ki ahmiyat o fazilat jis ka tazkirah uper hua wo Ilm Haqiqi yani Ilm e deen
ke sath khaas hai, jo duniya wa aakhirat dono jahan ki kamyabi ka zaamin hai
lihaza Ilm e deen ko kis qadar Layaq e Taazeem hona chahiye? Is ko har sahib e
aqal wa shaoor shakhs samajh sakta hai. hamare aslaaf ne jahan ilm k husool
mein tarah tarah ki qurbaaniyan di aur azeem mujahidah kiye, wahin Ilm ki
taazim aur Aalim hazraat k ehteraam o ekram ki aisi zinda o jawed misaal qayam
kar di jis ki nazeer milna mushkil hai aur Ilm wa Ullama ki isi tazeem ki
buniyad per wo log Ilm k anwaar o brakaat se khub khub mustafaiz hue. Ibrat k
liye Ilm o Ullama ki tazeem se mutalliq baaz waqyat naqal kiye jate hain ta ke
unhe parh kar humein bhi Ilm O Ullama ki tazeem ka shouq paida ho!!
Hadees-e-Rasul s.w. Ki tazeem:


Imam Malik rahmatullah alaih mash'hoor muhaddis wa fiqh hain, Aap r.a. k baare
mein bayan kiya jata hai k jab Aap r.a. Hadees sharif bayan karne ka irada
karte to wazu karte, darhi mein kanghi karte aur behetreen wa umdaah farsh per
intehai baWaqaar tariqa per parh kar baith kar Hadees farmate!
Aap r.a. ke is qadar ihtemam karne k baare mein poochha gaya to Aap r.a. ne
farmaya k Mujhe pasand hai main Rasulallah s.w. ki hadees ki tazeem karu, aur
sirf wazu hone ki halat mein hi Hadees bayan karu, is tarah Aap r.a. raasta
chalte hue ya Khade Khade ya jaldi mein Hadees bayan karne ko napasand karte
kyuki ye khilaaf-e-Adab hai aur Aap r.a. Madina manawwarah mein apne zaeef
kabrsani k bawajood kisi sawari per sawar hokar nahi chalte the aur farmate k
jis shahar mein Rasul e paak s.w. ka jism-e-At'har madfoon hai wahan main sawar
ho kar nahi chal sakta!!
Ye ek misaal thi jis se maloom hota hai hamare aslaam k dilo'n mein Hadees-e-
Rasul s.w. ki kitni mohabbat o azmat thi, aur iska kitna zyada adab o ihteram
tha, ab hum apna jayzah lein k aaj humein Farmaan-e-Rasul s.w. ka kitna pas o
lihaz hai???
Ullama ki tazeem:


Hazrat Abdullah bin Abbas r.z. mash'hoor sahabi, zabardast Aalim o fiqh aur
qur'ani uloom k mahir the. Hazrat Shaami r.a. bayan karte hain k Hazrat
Abdullah bin Abbas r.z. ne Hazrat Zaid bin saabit r.z. (jo mash'hoor fuqha e
sahaba mein se the) ki rukab thaam li, Hazrat Zaid r.z. ne farmaya k aap meri
rukaab pakde hue hain? jab k aap Allah k Rasul s.w. k chachazad bhai hain, Aap
khud azeem o murtabat aur layaq e ehteram hain, aisa kyu kar rahe hain ?
is per Hazrat Ibn Abbas r.z. ne jawab diya k hum Ullama k sath aisa hi adab o
ehteram ka muamla karte hain! ( hayat as'sabeqeen)
Taalib e dua:
Syed Hamid Shamsuzoha Ahrari
Like and Share for more Islamic Information:
www.facebook.com/maktabEShamsuzoha/

No comments:

Post a Comment